Mehfil-e-Gazal #268

Home | September '99 Index



Date: 06-Sep-99
Poet: Amjad Islam Amjad

A nazm titled Ishq Ka Jadoo

meraa tamaam fan, merii kavash, meraa riyaaz
ik naa-tamaam giit ke misare hai.n jin ke biich
maanii kaa rabt hai na kisii kaafiye kaa mel
a.njaam jis kaa tay na huaa ho ik aisaa khel
merii mataa bas yahii jaduu hai ishq kaa
siikhaa hai jis ko mai.n ne ba.Dii mushkilo.n ke saath
lekin ye saahir-e-ishq kaa tohfaa ajiib hai 
khulataa nahii.n hai kuchh ke haqiiqat me.n kyaa hai ye
taqadiir kii ataa hai yaa ko_ii sazaa hai ye
kis se kahe.n ai jaa.N ke ye qissaa ajiib hai
kahane ko yuu.N to ishq kaa jaduu hai mere paas
par mere dil  ke vaaste itanaa hai is kaa bojh
siine se ik pahaa.D-saa haTataa nahii.n hai ye
lekin asar ke baab me.n halkaa hai is qadar
tujh pe agar chalaauu.N to chalataa nahii.n hai ye




Home | September '99 Index