Mehfil-e-Gazal #299

Home | October '99 Index



Date: 19-Oct-99
Poet: Shamim Jaipuri

Another gem from the "Unforgettable Ghazals of Mohammed Rafi" album:

kitanii raahat hai dil TuuT jaane ke baad
zi.ndagii se mile maut aane ke baad

lazzat-e-sajdaa-e-sa.ng-e-dar kyaa kahe.n
hosh hii kab rahaa sar jhukaane ke baad

kyaa huaa har masarrat agar chhin ga_ii
aadamii ban gayaa Gam uThaane ke baad

[masarrat = happiness]

raat kaa maajaraa kis se puuchhe.n "Shamim"
kyaa banii bazm par mere aane ke baad


NOTE: Yesterday's ghazal was by Sudarshan Faakir,
not by Jan Nissar Akhtar.




Home | October '99 Index