Mehfil-e-Gazal #303

Home | October '99 Index



Date: 25-Oct-99
Poet: Shehzad Ahmed

Duub jaaye.nge sitaare aur bikhar jaayegii raat 
dekhatii rah jaaye.ngii aa.Nkh.en guzar jaayegii raat 

raat kaa pahalaa pahar hai ahal-e-dil Khaamosh hai 
subah tak rotii hu_ii aa.Nkho.n se bhar jaayegii raat 

[ahal = people/residents/members of]

aarazuu kii behisii kaa gar yahii aalam rahaa 
betalab aayegaa din aur beKhabar jaayegii raat 

[behisii = senseless/without feeling; betalab = without being sought]

shaam hii se so gaye hai.n log aa.Nkhe.n muu.Nd kar 
kis kaa daravaazaa khulegaa kis ke ghar jaayegii raat 





Home | October '99 Index