Mehfil-e-Gazal #305

Home | October '99 Index



Date: 27-Oct-99
Poet: Majaz

siine me.n un ke jalve chhupaaye huye to hai.n
ham apane dil ko tuur banaaye huye to hai.n

[tuur = mountain on which Moses had hsi vision]

taasiir-e-jazb-e-shauq dikhaaye huye to hai.n
ham teraa har hijaab uThaaye huye to hai.n

[taasiir = effect/result; jazbaa = emotion; hijaab = veil]

haa.N vo kyaa huaa vo hausalaa-e-diid ahal-e-dil
dekho na vo naqaab uThaaye huye to hai.n

[hausalaa-e-diid = courage to see/view]

tere gunaahagaar  gunaahagaar hii sahii
tere karam kii aas lagaaye huye to hai.n

allaah re qaamayaabii-e-aavaaragaan-e-ishq
Khud gum huye to kyaa use paaye huye to hai.n

ye tujh ko iKhtiyaar hai taasiir de na de
dast-e-duaa ham aaj uThaaye huye to hai.n

[iKhtiyaar = control; taasiir = result; dast-e-duaa = hands raised in prayer]

miTate huo.n ko dekh ke kyo.n ro na de.n "Majaz"
aaKhir kisii ke ham bhii miTaaye huye to hai.n




Home | October '99 Index