Mehfil-e-Gazal #355

Home | January 2000 Index



Date: 03-Jan-2000
Poet: Nizam Rampuri

a.nga.Daa_ii bhii vo lene na paaye uThaa ke haath
dekhaa mujhe to chho.D diye muskuraa ke haath

besaaKhtaa nigaahe.n jo aapas me.n mil ga_ii.n
kyaa muu.Nh pe us ne rakh liye aa.Nkhe.n churaa ke haath 

[besaaKhtaa = suddenly]

vo zaanuo.n pe siinaa chhupaanaa simaT ke haay
aur phir sambhaalanaa vo dupaTTaa chhu.Daa ke haath

[zaanuo.n = thigh/lap]

denaa vo us kaa saaGar-e-may yaad hai "Nizam"
muu.Nh pher ko udhar ko idhar ko ba.Dhaa ke haath


-------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/Paris/Rue/8764/

Nita's Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com

Please forward all your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------


Home | January 2000 Index