Mehfil-e-Gazal #365

Home | January 2000 Index



Date: 13-Jan-2000
Poet: Sir Mohammed Iqbal

-------------------------------------------------
Moderator's Note:

"Why do I send the poems in English and
not in Urdu/Hindi script? "

So many of you have asked me this that I 
felt it would be appropriate if I answered it 
here than send individual replies. 

Friends, Mehfil-e-Gazal has almost 2000
subscribers. Approximately half of our 
subscribers cannot read the Urdu script, 
even though they understand the language
and enjoy ghazals. It would be terribly 
unfair to them to send the poems in Urdu 
script and thus, deprive them of this service.
Similarly, quite a few of our fellow subscribers
cannot read the Hindi script. Thus, in the 
interests of all, I shall continue to send the 
poems in Romanized Urdu.

I would also like to thank all of you who 
have offered to help me with the technical
know-how. :-) Just to clarify matters, and in 
answer to other queries - I am a software 
engineer by profession working and living 
in Los Angeles, California. I was born and 
brought up in Calcutta, India.

If there are any other queries/clarifications, 
I will be glad to answer them through e-mail.

-------------------------------------------------

sitaaro.n se aage jahaa.N aur bhii hai.n 
abhii ishq ke imtihaa.N aur bhii hai.n 

tihii zi.ndagii se nahii.n ye fazaae.n 
yahaa.N saika.Do.n kaaravaa.N aur bhii hai.n 

[tihii = empty]

agar kho gayaa ek nasheman to kyaa Gam 
maqaamaat-e-aah-o-fuGaa.N aur bhii hai.n 

[maqaamaat-e-aah-o-fuGaa.N = place(opportunity) for lamentation]

tuu shaahii.n hai paravaaz hai kaam teraa 
tere saamane aasmaa.N aur bhii hai.n 

[shaahi.n = falcon; paravaaz = flying]

isii roz-o-shab me.n ulajh kar na rah jaa 
ke tere zamiin-o-makaa.N aur bhii hai.n 

gaye din ki tanhaa thaa mai.n a.njuman me.n 
yahaa.N ab mere raazadaa.N aur bhii hai.n 

qana'at na kar aalam-e-ra.ng-o-buu par 
chaman aur bhii aashiyaa.N aur bhii hai.n 

[qana'at = to be contented]

-------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/Paris/Rue/8764/

Nita's Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com

Please forward all your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------


Home | January 2000 Index