Mehfil-e-Gazal #368

Home | January 2000 Index



Date: 16-Jan-2000
Poet: Ameer Kazalbash

dil me.n kis darjaa be-dilii hai abhii
har Khushii jaise ajanabii hai abhii

phir ba.Dhe hai.n qadam terii jaanib
tere Gam me.n bhii dil-kashii hai abhii

[jaanib = towards/in the direction of]

mai.n bhii tujh se bichha.D ke sar-gardaa.N
terii aa.Nkho.n me.n bhii namii hai abhii

[sar-gardaa.N = distressed]

mai.n ne maanaa bahut a.Ndheraa hai
phir bhii tho.Dii sii roshanii hai abhii

-------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/Paris/Rue/8764/

Nita's Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com

Please forward all your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------


Home | January 2000 Index