Mehfil-e-Gazal #384

Home | February 2000 Index



Date: 01-Feb-2000
Poet: Harichand Akhtar

duur ko_ii raat bhar gaataa rahaa 
teraa milanaa mujh ko yaad aataa rahaa 

is tarah kuchh us ne chhe.daa dil kaa saaz 
der tak har taar tharraataa rahaa 

husn par taasiir-e-Gam hotii rahii 
ik shaguftaa phuul kumhalaataa rahaa 

[taasiir = effect; shaguftaa = blooming; kumhalaanaa = withering] 

ham bhii zabt-e-dard-e-Gam karate rahe 
vo bhii apane dil ko samajhaataa rahaa 

[zabt = restraint] 

ham na aaye phir chaman me.n lauT kar 
mausam-e-gul baar baar aataa rahaa 

[mausam-e-gul = spring] 

ab to "Akhtar" lutf-e-Gam bhii miT gayaa 
ab to vo aaraam bhii jaataa rahaa 


-------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/Paris/Rue/8764/

Nita's Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com

Please forward all your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------


Home | February 2000 Index