Mehfil-e-Gazal #387

Home | February 2000 Index



Date: 04-Feb-2000
Poet: Daag Dehlvi

sitam hii karanaa jafaa hii karanaa 
nigaah-e-lutf kabhii na karanaa 
tumhe.n qasam hai hamaare sar kii 
hamaare haq me.n kamii na karanaa 

kahaa.N kaa aanaa kahaa.N kaa jaanaa 
vo jaante hii nahii.n ye rasme.n 
vahaa.N hai vaade kii bhii ye suurat 
kabhii to karanaa kabhii na karanaa 

hamaarii mayyat pe tum jo aanaa 
to chaar aa.Nsuu bahaa ke jaanaa 
zaraa rahe paas-e-aabaruu bhii 
kahii.n hamaarii ha.Nsii na karanaa 

vo ik hamaaraa tariiq-e-ulfat 
ki dushmano.n se bhii mil ke chalanaa 
ye ek shevaa teraa sitamagar 
ki dost se dostii na karanaa 

-------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/Paris/Rue/8764/

Nita's Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com

Please forward all your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------


Home | February 2000 Index