Mehfil-e-Gazal #400

Home | February 2000 Index



Date: 17-Feb-2000
Poet: Hari Manchanda Bani

ajiib tajurbaa thaa bhii.D se guzarane kaa
use bahaanaa milaa mujh se baat karane kaa

phir ek mauj use khii.nch le ga_ii  tah-e-aab
tamaashaa Khatm huaa Duubane ubharane kaa

[tah-e-aab = underwater]

mujhe Khabar hai ki rastaa mazaar chaahataa hai
mai.n Khastaa-paa sahii lekin nahii.n Thaharane kaa

[Khastaa-paa = tired]

thamaa ke ek bikharataa gulaab mere haath
tamaashaa dekh rahaa hai vo mere Darane kaa

ye aasmaa.N me.n siyaahii bikher dii kis ne
hame.n thaa shauq bahut is me.n ra.ng bharane kaa

bas ek chiikh girii thii pahaa.D se yakalaKht
ajab nazaaraa thaa phir dhu.ndh ke bikharane kaa

-------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/Paris/Rue/8764/

Nita's Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com

Please forward all your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------


Home | February 2000 Index