Mehfil-e-Gazal #409

Home | February 2000 Index



Date: 26-Feb-2000
Poet: Afzal Minhas

Note: Bay Area mushaira on March 31st. More info 
is given after the ghazal.



karb ke shahar se nikale to ye manzar dekhaa
ham ko logo.n ne bulaayaa hame.n chhuu kar dekhaa

[karb = vexation/anguish]

jab bhii chaahaa hai ki malabuus-e-vafaa ko chhuu le.n
misl Khushbuu ko_ii u.Dataa huaa paikar dekhaa

[malabuus = garment; misl = like/example; paikar = form]

vo barasaat me.n bhiigaa to nigaahe.n uTThii.n
yo.n lagaa hai ko_ii tarshaa huaa patthar dekhaa

zi.ndagii kitanii pareshaa.N hai ye sochaa bhii na thaa
is ke ataraaf me.n sholo.n kaa sama.ndar dekhaa

[ataraaf = all around]

aa ga_ii Gam kii havaa phir tere gesuu chhuukar
hamane viiraanaa-e-dil phir se mu'attar dekhaa

[gesuu = hair; mu'attar = fragrant/filled with perfume]

vo jo u.Datii hai sadaa dasht-e-vafaa me.n "Afzal"
usii miTTii me.n nihaa.N dard kaa gauhar dekhaa

[dasht = desert/wilderness; nihaa.N = hidden/buried; gauhar = pearl]

-------------------------------------------------
Bazm-e-Arbab-e-Sukhan is organizing a Mushaira at 
7:00 pm on Friday MARCH 31, 2000 at the Mehran 
restaurant in Newark, California. For more information, 
please call: 

Annie Akhter (650)697-4445, mail4annie@aol.com 
Dr. Tahir Mahmood (925)485-0960 
Nagesh Avadhany (408)946-2946 
Farzana Siddiqi (650)349-0528 
Samina Khan (650)359-6402 
Mussarat Mir (650)349-6280 

Please note that I am not connected to the above 
organization in any way. Hence, I will not be able 
to answer any queries.

-------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/Paris/Rue/8764/

Nita's Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com

Please forward all your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------


Home | February 2000 Index