Mehfil-e-Gazal #428

Home | March 2000 Index



Date: 16-Mar-2000
Poet: Ibrahim Ashk

muhabbat ke saaGar chhalakane lage hai.n
vo dil banake dil me.n dha.Dakane lage hai.n

ye kaisii vafaao.n kii ritu aa ga_ii hai
Khayaalo.n me.n ek beKhudii chhaa ga_ii hai
qadam zi.ndagii ke bahakane lage hai.n

uma.ngo.n ke phuulo.n se daaman bharaa hai
meraa khavaab kaise haqiiqat banaa hai
nigaaho.n me.n juganuu jhamakane lage hai.n

sitaaro.n se aage hai duniyaa vafaa kii
magar ham ne kii hai tamannaa vafaa kii
jahaa.N aaj hairat se takane lage hai.n


-------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/Paris/Rue/8764/

Nita's Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com

Please forward all your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------


Home | March 2000 Index