Mehfil-e-Gazal #458

Home | April 2000 Index



Date: 19-Apr-2000
Poet: Bashir Badr


patthar ke jigar vaalo Gam me.n vo ravaanii hai 
Khud raah banaa legaa bahataa huaa paanii hai 

[ravaanii = flow/speed]

phuulo.n me.n Gazal rakhanaa ye raat kii raanii hai 
is me.n terii zulfo.n kii berabt kahaanii hai 

[berabt = incongruous/not connected]

ik zahan-e-parenshaa.N me.n vo phuul saa cheharaa hai 
patthar kii hifaazat me.n shiishe kii kahaanii hai 

[zahan = mind; pareshaa.N = troubled; hifaazat = protection]

kyo.n chaa.Ndanii raato.n me.n dariyaa pe nahaate ho 
soye hue paanii me.n kyaa aag lagaanii hai 

is hausalaa-e-dil par ham ne bhii kafan pahanaa 
ha.Ns kar ko_ii puuchhegaa kyaa jaan gavaanii hai 

[hausalaa = courage; kafan = shroud; gavaanaa = to lose]

rone kaa asar dil par rah rah ke badalataa hai 
aa.Nsuu kabhii shiishaa hai aa.Nsuu kabhii paanii hai 

ye shabanamii lahajaa hai aahistaa Gazal pa.Dhanaa 
titalii kii kahaanii hai phuulo.n kii zabaanii hai 

[lahajaa = style; titalii = butterfly]


-------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/Paris/Rue/8764/

Nita's Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com

Please forward all your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------


Home | April 2000 Index