Mehfil-e-Gazal #487

MeG Index | June 2000 Index



Date: 1-Jun-2000
Poet: Rajiv Chakravarti 'NaadaaN'

rahaa na dil hii pe qaabuu na iKhtiyaar mujhe
kiyaa hai ishq ne is tarah baqaraar mujhe

gulo.n ke badale milii aah nok-e-Khaar mujhe
Khizaa.N ko ab ke samajhanaa pa.Daa bahaar mujhe

kuchh is tarah se fareb-e-nazar kaa maaraa huu.N
vo aa bhii jaaye.n to aaye na aitabaar mujhe*

* This line is from a Khumar Barabankvi ghazal


kisii kii yaad me.n sar_shar thaa jo muddat se
zamaanaa dekh ke samajhe hai maigusaar mujhe

talash-e-manzil-e-sabr-o-sukuu.N to hai dil ko
milaa hai raah me.n lekin faqat Gubaar mujhe

agar Khataa hai muhabbat to phir Khataa hii sahii
gunaah_gaar huu.N kah do gunaah_gaar mujhe

Gam-e-hayaat Gam-e-aarazuu Gam-e-ulfat
qadam qadam pe uThaanaa pa.Daa hai baar mujhe

Khayaal-e-yaar ko dil se miTaa_uu.N mai.n taubaa
ziyaadaa jaan se apanii hai is se pyaar mujhe

ajiib chiiz hai dil kaa muaamalaa yaaro
tamaam umr kiyaais ne sog_vaar mujhe

pahu.Nch gayaa huu.N mai.n ab jalvaa_gaah-e-jaanaa.N me.n
nazar jo aaye hai har suu jamaal-e-yaar mujhe

kiyaa thaa husn kaa nazzaaraa mai.n ne jis din se
Khudaa gavaah usii din se hai Khumaar mujhe

mujhe kahe ko_ii diivaanaa bhii to kyaa 'NaadaaN'
isii Khitaab se duniyaa me.n hai vaqaar mujhe

(OCTOBER 11, 1999 - WICHITA, KS - USA)


--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/

Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com

E-mail your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------


MeG Index | June 2000 Index