Mehfil-e-Gazal #489

Meg Index | June 2000 Index



Date: 5-Jun-2000
Poet: Shakeel Badayuni

tamhiid-e-sitam aur hai takamiil-e-jafaa aur 
chakhane kaa mazaa aur hai piine kaa mazaa aur

[tamhiid = beginning; takamiil = completion/fulfilment]

taasiir to taasiir tasavvur hai gurezaa.N
raato.n ko zaraa maa.Ngiye uTh uTh ke duaa aur

[taasiir = result/effect; tasavvur = imagination]
[gurezaa.N = fleeing]

dono.n hii binaa-e-kashish-o-jazb hai.n lekin
naGmo.n kii sadaa aur hai naalo.n kii sadaa aur

[binaa-e-kashish-o-jazb = reasons/basis for attraction]
[naalaa = wait/loud cry]

Takaraa ke vahii.n TuuT gaye shiishaa-o-saaGar
maiKhvaaro.n ke jhurmuT me.n jo saaqii ne kahaa aur

[jhurmuT = crowd]

vo Khud nazar aate hai.n jafaao.n pe pashemaa.N
kyaa chaahiye aur tum ko "Shakeel" is ke sivaa aur

[jafaa = oppression/injustice; pashemaa.N = ashamed]


--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/

Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com

E-mail your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------


Meg Index | June 2000 Index