Mehfil-e-Gazal #491

Meg Index | June 2000 Index



Date: 7-Jun-2000
Poet: Asghar Gondvi


ye ishq ne dekhaa hai ye aql se pinhaa.N hai
qatare me.n samandar hai zarre me.n bayaabaa.N hai

[pinhaa.N = hidden; qataraa = drop; zarraa = speck; bayaabaa.N = wilderness]

ai paikar-e-mahabuubii mai.n kis se tujhe dekhuu.N
jis ne tujhe dekhaa hai vo diidaa-e-hairaa.N hai

[paikar-e-mahabuubii = form of the beloved; diidaa-e-hairaa.N = blind to everything else]

sau baar teraa daaman haatho.n me.n mere aayaa
jab aa.Nkh khulii dekhaa apanaa hii girebaa.N hai

[girebaa.N = dress collar]

ye husn kii mauje.n hai.n yaa josh-e-tamannaa hai
us shoKh ke ho.nTho.n par ik barq sii larazaa.N hai

[mauj = wave; josh = enthusiasm/passion; tamannaa = desire]
[shoKh = coquettish one; barq = lightning; larazaa.N = trembling]

"Asghar" se mile lekin "Asghar" ko nahii.n dekhaa
ashaar me.n sunate hai.n kuchh kuchh vo numaayaa.N hai

[ashaar = couplets (plural of sher); numaayaa.N = evident]


--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/

Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com

E-mail your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------


Meg Index | June 2000 Index