Mehfil-e-Gazal #497

Meg Index | June 2000 Index



Date: 15-Jun-2000
Poet: Qaraar Noori

haal-e-dil mai.n ne jo duniyaa ko sunaanaa chaahaa
mujh ko har shaKhs ne dil apanaa dikhaanaa chaahaa

[shaKhs = person]

apanii tasviir banaane ke liye duniyaa me.n
mai.n ne har rang pe ik rang cha.Dhaanaa chaahaa

Khaak-e-dil jauhar-e-aa_iinaa ke kaam aa hii ga_ii
laakh duniyaa ne nigaaho.n se giraanaa chaahaa

sholaa-e-barq se gulashan ko bachaane ke liye
mai.n ne har aag ko siine me.n chhupaanaa chaahaa

[sholaa-e-barq = spark of lightning; gulashan = garden]

apane aibo.n ko chhupaane ke liye duniyaa me.n
mai.n ne har shaKhs pe ilzaam lagaanaa chaahaa

[aib = vice/fault; ilzaam = allegation/accusation]

Gairat-e-mauj use phe.nk ga_ii saahil par
Duubane vaale ne jab shor machaanaa chaahaa

[Gairat = self-respect/pride; saahil = shore]


--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/

Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com

E-mail your queries to moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------


Meg Index | June 2000 Index