Mehfil-e-Gazal #513

Meg Index | August 2000 Index



Date: 17-Aug-2000
Poet: 'Farosh'


Contributed by Pankaj Mathur:

itanaa tuu karam ham pe ai sayyaad kare hai
par noch ke ab qaid se aazaad kare hai

[karam = kindness/favour; sayyaad = hunter; par = wing]
[qaid = imprisonment; aazaad = free]


ai baad-e-sabaa un se ye kah diijiiyo jaa kar
parades me.n ek shaKhs tujhe yaad kare hai

[baad-e-sabaa = morning breeze; shaKhs = individual/person]


aave hai terii yaad to ha.Ns deve hai aksar
diivaanaa teraa yuu.N bhii tujhe yaad kare hai


farazaanaa ujaa.De hai bhare shaharo.n ko lekin
diivaanaa to saharaa ko bhii aabaad kare hai

[farazaanaa = wise/intelligent; saharaa = desert/wilderness]


likh likh ke miTaa deve hai tuu naam ye kis kaa
sach kahiyo "Farosh" aaj kise yaad kare hai


--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/meg/

Frequently Asked Questions:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/faq.html

To unsubscribe, send a blank e-mail to 
urdu_poetry-unsubscribe@egroups.com 

For all other queries, send an e-mail to 
moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------


Meg Index | August 2000 Index