Mehfil-e-Gazal #517

Meg Index | August 2000 Index



Date: 23-Aug-2000
Poet: Nasir Kazmi


dil me.n aur to kyaa rakhaa hai
teraa dard chhupaa rakhaa hai

itane dukho.n kii tez havaa me.n 
dil kaa diip jalaa rakhaa hai

dhuup se cheharo.n ne duniyaa me.n
kyaa andher machaa rakhaa hai

is nagarii ke kuchh logo.n ne
dukh kaa naam davaa rakhaa hai

vaadaa-e-yaar kii baat na chhe.Do
ye dhokaa bhii khaa rakhaa hai

bhuul bhii jaa_o biitii baate.n
in baato.n me.n kyaa rakhaa hai

chup chup kyo.n rahate ho "Nasir"
ye kyaa rog lagaa rakhaa hai



--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/meg/

Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com

To unsubscribe, send a blank e-mail to 
urdu_poetry-unsubscribe@egroups.com 

For all other queries, send an e-mail to 
moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------


Meg Index | August 2000 Index