Mehfil-e-Gazal #524

Meg Index | September 2000 Index



Date: 1-Sep-2000
Poet: Zahur Nazar


haath meraa ai merii parachhaa_ii.n tuu hii thaam le
ek muddat se mujhe to suujhataa kuchh bhii nahii.n

shahar-e-shab me.n kaun-saa ghar thaa na dii jis par sadaa
niind ke andhe musaafir ko milaa kuchh bhii nahii.n

umr bhar umr-e-gurezaa.N se na merii ban sakii
jo kare karatii rahe mai.n puchhataa kuchh bhii nahii.n

[umr-e-gurezaa.N = fleeting life]


vo bhii shaayad ro pa.De viiraan kaaGaz dekh kar
mai.n ne us ko aaKhirii Khat me.n likhaa kuchh bhii nahii.n



--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/meg/

Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com

To unsubscribe, send a blank e-mail to 
urdu_poetry-unsubscribe@egroups.com 

For all other queries, send an e-mail to 
moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------


Meg Index | September 2000 Index