Mehfil-e-Gazal #526

Meg Index | September 2000 Index



Date: 5-Sep-2000
Poet: Azhar Inayati

mayassar ho jo lamhaa dekhane ko
kitaabo.n me.n hai kyaa kyaa dekhane ko

[mayassar = possible/to get; lamhaa = moment]


hazaaro.n qadd-e-aadam aa_iine.n hai.n
magar tarasoge cheharaa dekhane ko

[qadd-e-aadam = length of man]
[qadd-e-aadam aa_iinaa = full length mirror]


abhii hai.n kuchh puraanii yaadagaare.n
tum aanaa shahar meraa dekhane ko

havaa se hii sahii khulataa thaa aksar
mujhe bhii ik dariichaa dekhane ko

[aksar = often; dariichaa = window]


abhii shaaKho.n pe hai.n kuchh phuul "Azhar"
mujhe kaa.NTo.n me.n uljhaa dekhane ko

[shaaKh = branch]


--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/meg/

Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com

To unsubscribe, send a blank e-mail to 
urdu_poetry-unsubscribe@egroups.com 

For all other queries, send an e-mail to 
moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------


Meg Index | September 2000 Index