Mehfil-e-Gazal #534

Meg Index | September 2000 Index



Date: 15-Sep-2000
Poet: Daag Dehlvi


The third ghazal from the Tahira Syed album is a well known ghazal by 
Daag Dehlvi. The most well known version of this ghazal has been sung 
by Mohammed Rafi. 

Once again, the post includes more ashaar than those sung by Tahira 
Syed.


Gazab kiyaa, tere vaade pe aitabaar kiyaa 
tamaam raat qayaamat kaa intazaar kiyaa 

[aitabaar karanaa = to trust/believe; tamaam = whole] 


ha.Nsaa ha.Nsaa ke shab-e-vasl ashk-baar kiyaa 
tasalliyaa.N mujhe de-de ke beqaraar kiyaa 

[ashk-baar = tearful]


ham aise mahv-e-nazaaraa na the jo hosh aataa 
magar tumhaare taGaaful ne hoshiyaar kiyaa 

[mahv-e-nazaaraa = lost in (the beauty of) the scene]
[taGaaful = neglect; hoshiyaar = alert]


fasaana-e-shab-e-Gam un ko ek kahaanii thii 
kuchh aitabaar kiyaa aur kuchh naa-aitabaar kiyaa 

[fasaanaa-e-shab-e-Gam = tale of the night of grief]


ye kis ne jalvaa hamaare sar-e-mazaar kiyaa 
ki dil se shor uThaa, haaye! beqaraar kiyaa 

[jalvaa = appear; sar-e-mazaar = at the tomb]


ta.Dap phir ai dil-e-naadaa.N, ki Gair kahate hai.n 
aaKhir kuchh na banii, sabr iKhtiyaar kiyaa 

[sabr = patience] 


bhulaa bhulaa ke jataayaa hai un ko raaz-e-nihaa.N 
chhipaa chhipaa ke mohabbat ko aashakaar kiyaa 

[raaz-e-nihaa.N = hidden secret; aashakaar = reveal] 


tumhe.n to vaadaa-e-diidaar ham se karanaa thaa 
ye kyaa kiyaa ke jahaa.N ko ummiid-vaar kiyaa 


ye dil ko taab kahaa.N hai ke ho maalandesh 
unho.n ne vaadaa kiyaa ham ne aitabaar kiyaa 

[taab = strength; maalandesh = think of consequences/result of any action)]


na puuchh dil kii haqiiqat magar ye kahate hai.n 
vo beqaraar rahe jis ne beqaraar kiyaa 

kuchh aage daavar-e-mahashar se hai ummiid mujhe 
kuchh aap ne mere kahane kaa aitabaar kiyaa 

[daavar-e-mahashar = the judge presiding on the day of judgement, i.e. God] 


--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/meg/

Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com

To unsubscribe, send a blank e-mail to 
urdu_poetry-unsubscribe@egroups.com 

For all other queries, send an e-mail to 
moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------


Meg Index | September 2000 Index