Mehfil-e-Gazal #538

Meg Index | September 2000 Index



Date: 21-Sep-2000
Poet: Arzoo Lucknawi


The seventh ghazal from the album is as follows:


avval-e-shab vo bazm kii raunaq, shammaa bhii thii paravaanaa bhii 
raat ke aaKhir hote hote, Khatm thaa ye afasaanaa bhii 

[avval-e-shab = first night; bazm = gathering; raunaq = brightness/illumination]


qaid ko to.D ke nikalaa jab mai.n uTh ke baguule saath hue 
dasht-e-adam tak jangal jangal bhaag chalaa viiraanaa bhii 


haath se kis ne saaGar paTakaa mausam kii bekaifii par 
itanaa barasaa TuuT ke baadal Duub chalaa maiKhaanaa bhii 


Khuun hii kii shirkat vo kyo.n na ho, shirkat chiiz hai jhaga.De kii 
apano.n se vo dekh rahaa huu.N jo na kare begaanaa bhii 

[shirkat = sharing]


ek lagii ke do hai.n asar, aur dono.n hasb-e-maraatib hai.n 
lau jo lagaae shammaa kha.Dii hai raqs me.n hai paravaanaa bhii 

[hasb = according to; maraatib = rank/status/position; raqs = dance]


--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/meg/

Urdu Poetry Archive:
http://www.urdupoetry.com

To unsubscribe, send a blank e-mail to 
urdu_poetry-unsubscribe@egroups.com 

For all other queries, send an e-mail to 
moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------


Meg Index | September 2000 Index