Mehfil-e-Gazal #547

Meg Index | October 2000 Index



Date: 04-Oct-2000
Poet: Ehsan Danish


yuu.N na mil mujh se Khafaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise

[Khafaa = angry; mauj = wave]


log yuu.N dekh ke ha.Ns dete hai.n
tuu mujhe bhuul gayaa ho jaise

maut bhii aa_ii to is naaz ke saath
mujh pe ehasaan kiyaa ho jaise

aise anjaan bane baiThe ho
tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise

hichkiyaa.N raat ko aatii hii rahii.n
tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise

zindagii yuu.N biit rahii hai "Danish"
ek be-jurm sazaa ho jaise



--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/meg/

To subscribe: send an e-mail to 
urdu_poetry-subscribe@eGroups.com

To unsubscribe, send an e-mail to 
urdu_poetry-unsubscribe@eGroups.com

For all other queries, send an e-mail to 
moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------



Meg Index | October 2000 Index