Mehfil-e-Gazal #553

Meg Index | October 2000 Index



Date: 12-Oct-2000
Poet: Yahya Jasdanwala


Music India came out with a Begum Akhtar album some time back 
titled "Malika-e-Ghazal Begum AKhtar in Mehfil" with five ghazals, 
all written by Yahya Jasdanwala. This appears to be a live recording 
but with minimal intrusion by the audience. Here is one of the ghazals 
from the album: 

ek bekasii hai hijr ke maaro.n ke saath saath
TuuTaa hai meraa dil bhii sahaaro.n ke saath saath 
[bekasii = helplessness; hijr = separation] 

jii bhar ke dekhane bhii na paaye the chhup gaye
armaa.N bhii hai.n udaas nazaaro.n ke saath saath 

dil me.n vafuur-e-shauq kaa tuufaa.N liye huye
Khaamosh jaagataa huu.N sitaaro.n ke saath saath 
[vafuur = abundance] 

itanii to mahviyat ho tasavvur me.n tere dost
Khud ko bhii bhuul jaa_uu.N nazaaro.n ke saath saath 
[mahviyat = absorption; tasavvur = imagination] 

"Yahya" ye aag ishq kii phir bhii na bujh sakii
hai dil me.n ashk-e-Gam bhii sharaaro.n ke saath saath 
[sharaaraa = spark]


--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.geocities.com/urdu_poetry/meg/

To subscribe: send an e-mail to 
urdu_poetry-subscribe@eGroups.com

To unsubscribe, send an e-mail to 
urdu_poetry-unsubscribe@eGroups.com

For all other queries, send an e-mail to 
moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------



Meg Index | October 2000 Index