Mehfil-e-Gazal #563

Meg Index | October 2000 Index



Date: 26-Oct-2000
Poet: Ameer Minai


jab se bul-bul tuu ne do tinake liye
TuuTatii hai bijaliyaa.N in ke liye


hai javaanii Khud javaanii kaa sinGaar
saadagii gahanaa hai us sinn ke liye

[sinGaar = adornment; saadagii = simplicity]
[gahanaa = jewel; sinn = age/period of life]


kaun viiraane me.n dekhegaa bahaar
phuul jangal me.n khile kin ke liye


saarii duniya ke hain vo mere sivaa
mai.n ne duniyaa chho.D dii jin ke liye


baaGabaa.N kaliyaa.N ho.n halke rang kii
bhejanii hai.n ek kamasin ke liye

[baaGabaa.N = gardener; kamasin = of tender years]


sab hasii.n hai.n zaahido.n ko naapasand
ab ko_ii huur aayegii in ke liye

[zaahid = religious/devout person; huur = fairy/celestial nymph]


vasl kaa din aur itanaa muKhtasar
din gine jaate the is din ke liye

[vasl = union; muKhtasar = short]


--------------------------------------------------
Mehfil-e-Gazal Archive:
http://www.mehfil-e-gazal.net

To subscribe: send an e-mail to 
urdu_poetry-subscribe@eGroups.com

To unsubscribe, send an e-mail to 
urdu_poetry-unsubscribe@eGroups.com

For all other queries, send an e-mail to 
moderator@urdupoetry.com
--------------------------------------------------



Meg Index | October 2000 Index