Mehfil-e-Gazal #595

Meg Index | December 2000 Index



Date: 13-Dec-2000
Poet: Bashir Badr


musaafir ke raste badalate rahe 
muqaddar me.n chalanaa thaa chalate rahe 

ko_ii phuul saa haath kaa.Ndhe pe thaa 
mere paa.Nv sholo.n pe chalate rahe 

mere raaste me.n ujaalaa rahaa 
diye us kii aa.Nkho.n ke jalate rahe 

vo kyaa thaa jise ham ne Thukaraa diyaa 
magar umr bhar haath malate rahe 

muhabbat adaavat vafaa beruKhii 
kiraaye ke ghar the badalate rahe 

sunaa hai unhe.n bhii havaa lag ga_ii 
havaao.n ke jo ruKh badalate rahe 

lipaT ke charaaGo.n se vo so gaye 
jo phuulo.n pe karavaT badalate rahe



Meg Index | December 2000 Index