Mehfil-e-Gazal #605

Meg Index | February 2001 Index



Date: 06-Feb-2001
Poet: Parveen Shakir

Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye
jab tak mere vajuud ke andar utar na jaaye

[vajuud = existence]

Khud phuul ne bhii ho.nTh kiye apane niim-vaa
chorii tamaam rang kii titalii ke sar na jaaye

[niim-vaa = half open; tamaam = whole/entire]
[titalii = butterfly]

is Khauf se vo saath nibhaane ke haq me.n hai
khokar mujhe ye la.Dakii kahii.n dukh se mar na jaaye

[Khauf = fear]

palko.n ko us kii apane dupaTTe se po.Nch duu.N
kal ke safar me.n aaj kii gard-e-safar na jaaye

[gard = dust]

mai.n kis ke haath bhejuu.N use aaj kii duaa
qaasid, havaa, sitaaraa ko_ii us ke ghar na jaaye


Meg Index | February 2001 Index