Mehfil-e-Gazal #606

Meg Index | February 2001 Index



Date: 07-Feb-2001
Poet: Sudarshan Faakir

I would be obliged if someone can provide me with 
any information on Sudarshan Faakir. I haven't been 
able to lay my hands on any information about him.

Here is a nazm sung by Jagjit Singh from the album
Ghazal Greats which features songs by Jagjit Singh 
and Ghulam Ali. It was brought out by Weston which 
has since closed down. Thanks to Satyajit for 
reminding me of this song.


ye shiishe ye sapane ye rishte ye dhaage
kise kyaa Khabar hai kahaa.N TuuT jaaye.N
muhabbat ke dariyaa me.n tinake vafaa ke
na jaane ye kis mo.D par Duub jaaye.N

ajab dil kii bastii ajab dil kii vaadii 
har ek mo.D mausam na_ii Khvaahisho.n kaa
lagaaye hai.n ham ne bhii sapano.n ke paudhe
magar kyaa bharosaa yahaa.N baarisho.n kaa

muraado.n kii manzil ke sapano.n me.n khoye
muhabbat kii raaho.n pe ham chal pa.De the
zaraa duur chal ke jab aa.Nkhe.n khulii to
ka.Dii dhuup me.n ham akele kha.De the

jinhe.n dil se chaahaa jinhe.n dil se puujaa
nazar aa rahe hai.n vahii ajanabii se
ravaayat hai shaayad ye sadiyo.n puraanii
shikaayat nahii.n hai ko_ii zindagii se


Meg Index | February 2001 Index