Mehfil-e-Gazal #658

Meg Index | April 2001 Index



Date: 23-Apr-2001
Poet: Baazuddin Baaz

mujarim huu.N teraa aa mujhe jo chaahe sazaa de
is dil me.n muhabbat kii sanam aag lagaa de

jazbaat kaa dil me.n ko_ii tuufaan uThaa ke
kahate hai.n jise pyaar zamaane ko dikhaa de

duniyaa se kabhii pyaar kaa shikavaa na karuu.Ngaa
le haath me.n Khanjar merii gardan ko u.Daa de

in mast nigaaho.n se sar-e-shaam pilaakar
diivaane ko kuchh aur hii diivaanaa banaa de

ab pyaar kii is raah se kaa.NTo.n ko haTaakar
dushman ko jalaane ke liye phuul bichhaa de

ab husn-e-tajallii se jale 'Baaz' hai teraa
ruKhsaar pe apane zaraa parde ko giraa de


Meg Index | April 2001 Index