Mehfil-e-Gazal #661

Meg Index | April 2001 Index



Date: 26-Apr-2001
Poet: Kumar 'Ansoo'


Today's poem is obviously not a Gazal. Yet, this is a form
that is often seen, specially in film songs. Anybody have a 
name for it?

Check out the different forms of Urdu poetry at 
http://www.urdupoetry/com/poetryforms.html


gul_shan me.n bahaar aa_ii mere dil kaa chaman viraa.N
har shaaKh hai muskaa_ii mere dil kaa chaman viraa.N

kaliyo.n ne bhii khil-khil ke rituo.n ko sadaa dii hai
patto.n ne bhii hil-hil ke shaaKho.n ko havaa dii hai
mausam pe bahaar aa_ii mere dil kaa chaman viraa.N

Guncho.n se lipatatii hai mastii bharii purvaa_ii
har-suu hai nashaa chhalakaa mad-mast ghaTaa chhaa_ii
phuulo.n ne lii anga.Daa_ii mere dil kaa chaman viraa.N

taaro.n-sii chamakatii hai.n barakhaa kii hasii.n buu.Nde.n
dulhan-sii larazatii hai.n badalii me.n chhipii lahare.n
bha.Nvao.n ne Gazal gaa_ii mere dil kaa chaman viraa.N


Meg Index | April 2001 Index