Mehfil-e-Gazal #683

Meg Index | June 2001 Index



Date: 29-Jun-2001
Poet: Pirzada Qasim

Dr. Pirzada Qasim recited another of his older ghazals in tarannum 
at the Dallas mushaira. One of the MeG subscribers who attended the 
mushaira and liked the ghazal has sent in a special request for this
ghazal so here it is:


Gam se bahal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n
dard me.n Dhal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n

saayaa-e-vasl kab se hai aap kaa muntazir magar
hijr me.n jal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n

apane Khilaaf faisalaa Khud hii likhaa hai aap ne
haath bhii mal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n

vaqt ne aarazuu kii lau der hu_ii bujhaa bhii dii
ab bhii pighal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n

zahamat-e-zarbat-e-digar dost ko diijiye nahii.n
gir ke sambhal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n

daayaraavaar hii to hai.n ishq ke raaste tamaam
raah badal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n

[daayaraavaar = fenced in/with boundary]

dasht kii saarii raunaqe.n Khair se ghar me.n hai.n to kyuu.N
ghar se nikal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n

[dasht = desert/wilderness]

apanii talaash kaa safar Khatm bhii kiijiye kabhii
Khvaab me.n chal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n

------------------------------------------------------------------
Moderator's Note:

I have just added a new online poll to the Urdu poetry website to 
see who is the most popular Urdu poet. Please do visit the website 
to cast your vote. 

I am also open to suggestions about topics for forthcoming polls. 
You are welcoem to send your suggestions to moderator@urdupoetry.com


Meg Index | June 2001 Index