Mehfil-e-Gazal #689

Meg Index | July 2001 Index



Date: 10-Jul-2001
Poet: Shehzad Ahmed

Some of you may have received MeG #689 with a ghazal by Baazuddin Baaz. This was an inadvertent slip of the fingers. My apologies!


ab tak us kii muhabbat kaa nashaa taarii hai
phuul baaqii nahii.n Khushbuu kaa safar jaarii hai

sahar lagataa hai pasiine me.n nahaayaa huaa jism
ye ajab Khvaab me.n Duubii hu_ii bedaarii hai

[bedaarii = wakefulness]

dhyaan bhii us kaa hai milate bhii nahii.n hai.n us se
jism se bair hai saaye se vafaadaarii hai

[bair = enmity]

dil ko tanhaa_ii kaa ahasaas bhii baaqii na rahaa
vo bhii dhundhalaa ga_ii jo shakl bahut pyaarii hai

is tag-o-taaz me.n TuuTe hai.n sitaare kitane
aasmaa.N jiit sakaa hai na zamii.n haarii hai

ko_ii aayaa hai zaraa aa.Nkh to kholo 'Shehzad'
abhii jaage the abhii sone kii taiyaarii hai

[taiyaarii = preparation]


Meg Index | July 2001 Index