Mehfil-e-Gazal #701

Meg Index | July 2001 Index



Date: 26-Jul-2001
Poet: Munir Niazi


Munir Niazi sahib kii ek nazm pesh-e-Khidmat hai. Ummiid hai 
aap sab ko pasand aayegii. 

nazm kaa unvaan hai 'main aur meraa Khudaa'


laakho.n shaklo.n ke mele me.n tanhaa rahanaa meraa kaam
bhes badal kar dekhate rahanaa tez havaao.n kaa koharaam
ek taraf aavaaz kaa suuraj ek taraf ik guungii shaam
ek taraf jismo.n kii Khushbuu ek taraf is kaa anjaam
ban gayaa qaatil mere liye to apanii hii nazaro.n kaa daam
sab se ba.Daa hai naam Khudaa kaa us ke baad hai meraa naam

[shakl = face; tanhaa = lonely; koharam = loud noise/chaotic din]
[guungii = mute; anjaam = result; qaatil = murderer; daam = trap/net]



Meg Index | July 2001 Index