Mehfil-e-Gazal #732

Meg Index | October 2001 Index



Date: 02-Oct-2001
Poet: Faiz Ahmed Faiz


aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye 
us ke baad aaye jo azaab aaye 

[azaab=trouble, difficulty] 

baam-e-miinaa se maahataab utare 
dast-e-saaqii me.n aaftaab aaye 

har rag-e-Khuu.N me.n phir charaaGaa.N ho 
saamane phir vo benaqaab aaye 

umr ke har varaq pe dil ko nazar 
terii mehr-o-vafaa ke baab aaye 

kar rahaa thaa Gam-e-jahaa.N kaa hisaab 
aaj tum yaad behisaab aaye 

na ga_ii tere Gam kii sardaarii 
dil me.n yuu.N roz inqalaab aaye 

jal uThe bazm-e-Gair ke dar-o-baam 
jab bhii ham Khaanamaa.N_Kharaab aaye 

is tarah apanii Khamashii guu.Njii 
goyaa har simt se javaab aaye 

'Faiz' thii raah sar basar manzil 
ham jahaa.N pahu.Nche kaamayaab aaye 


Meg Index | October 2001 Index