Mehfil-e-Gazal #739

Meg Index | October 2001 Index



Date: 11-Oct-2001
Poet: Qateel Shifai


dil ko Gam-e-hayaat gavaaraa hai in dino.n 
pahale jo dard thaa vahii chaaraa hai in dino.n 

[gavaaraa = agreeable; chaaraa = cure]

ye dil zaraa saa dil terii yaado.n me.n kho gayaa 
zarre ko aa.Ndhiyo.n kaa sahaaraa hai in dino.n 

har sail-e-ishq saahil-e-taskii.n hai aaj kal
dariyaa kii mauj mauj kinaaraa hai in dino.n

[sail-e-ishq = flood of love; saahil-e-taskii.n = peaceful shore]

shamo.n me.n ab nahii.n hai vo pahale sii roshanii
shaayad vo chaa.Nd anjuman_aaraa hai in dino.n

[anjuman_aaraa = adorning or enhancing the beauty of a gathering]

tum aa sako to shab ko ba.Dhaa duu.N kuchh aur bhii 
apane kahe me.n subah kaa taaraa hai in dino.n 

qurbaa.N ho.n jis ke husn pe sau jannate.n 'Qateel'
nazaro.n ke saamane vo nazaaraa hai in dino.n


Meg Index | October 2001 Index