Mehfil-e-Gazal #751

Meg Index | October 2001 Index



Date: 29-Oct-2001
Poet: Andleeb Shadani


ko_ii adaa_shanaas-e-muhabbat hame.n bataaye
jo ham ko bhuul jaaye vo kyo.n ham ko yaad aaye

kis kii majaal thii ki hijaab-e-nazar uThaaye
vo muskuraa ke aap hii dil ke qariib aaye

ik dil_nashii.n nigaah me.n allaah ye Khalish
nashtar kii nok jaise kaleje me.n TuuT jaaye

kuchh ham se beKhudii me.n hu_ii behijaabiyaa.N
chashm_kazanii sitaaro.n ne kii phuul muskuraaye

vo jaan-e-aarazuu ke hai saramaayaa-e-nishaat
kyo.n us kii yaad Gam kii ghaTaa ban ke dil pe chhaaye

tum to hamii.n ko kahate the ye tum ko kyaa huaa
dekho ka.Nval ke phuul se shabanam chhalak na jaaye

ik naatamaam Khvaab mukammal na ho sakaa
aane ko zindagii me.n bahut inqalaab aaye


Meg Index | October 2001 Index