Mehfil-e-Gazal #755

Meg Index | November 2001 Index



Date: 02-Nov-2001
Poet: Momin Khan Momin


royaa kare.nge aap bhii paharo.n isii tarah 
aTakaa kahii.n jo aap kaa dil bhii merii tarah 

naa taab hijr me.n hai naa aaraam vasl me.n 
kam_baKht dil ko chain nahii.n hai kisii tarah 

gar chup rahe.n to Gam-e-hijraa.N se chhuuT jaaye.N 
kahate to hai.n bhale kii vo lekin burii tarah 

na jaaye vaa.N bane hai na bin jaaye chain hai 
kyaa kiijiye hame.n to hai mushkil sabhii tarah 

lagatii hai.n gaaliyaa.N bhii terii mujhe kyaa bhalii 
qurbaan tere phir mujhe kah le isii tarah 

huu.N jaa.N_balab butaan-e-sitam_gar ke haath se 
kyaa sab jahaa.N me.n jiite hai.n 'Momin' isii tarah 


Meg Index | November 2001 Index