Mehfil-e-Gazal #764

Meg Index | November 2001 Index



Date: 15-Nov-2001
Poet: Ada Jafri


aaKhirii Tiis aazamaane ko
jii to chaahaa thaa muskuraane ko

yaad itanii bhii saKht_jaa.N to nahii.n
ik gharau.ndaa rahaa hai Dahaane ko

sang_rezo.n me.n Dhal gaye aa.Nsuu
log ha.Nsate rahe dikhaane ko

jalane vaale to jal bujhe aaKhir
kaun detaa Khabar zamaane ko

kitane majabuur ho gaye ho.nge
ankahii baat muu.Nh pe laane ko

khul ke ha.Nsanaa to sab ko aataa hai
log tarasate rahe ik bahaane ko

rezaa rezaa bikhar gayaa insaa.N
dil kii viiraaniyaa.N jataane ko

hasarato.n kii panaah_gaaho.n me.n
kyaa Thikaane hai.n sar chhupaane ko

haath kaa.NTo.n se kar liye zaKhmii
phuul baalo me.n ik sajaane ko

aas kii baat ho ki saa.Ns 'Ada'
ye Khilaune hai.n TuuT jaane ko


Meg Index | November 2001 Index