Mehfil-e-Gazal #769

Meg Index | November 2001 Index



Date: 03-Dec-2001
Poet: Sagar Nizami


kaafir gesuu vaalo.n kii raat basar yuu.N hotii hai
husn hifaazat karataa hai aur javaanii sotii hai

mujh me.n tujh me.n farq nahii.n mujh me.n farq hai ye
tuu duniyaa par ha.Nsataa hai duniyaa mujh par ha.Nsatii hai

sabr-o-sukuu.N do dariyaa hai.n bharate bharate bharate hai.n
taskiin dil kii baarish hai hote hote hotii hai

jiine me.n kyaa raahat thii marane me.n takliif hai kyaa
tab duniyaa kyo.n ha.Nsatii thii ab duniyaa kyo.n rotii hai

dil ko to tashKhiish hu_ii chaaraagaro.n se puuchhuu.Ngaa
dil jab dhak-dhak karataa hai vo haalat kyaa hotii hai

raat ke aa.Nsuu ai 'Sagar' phuulo.n se bhar jaate hai.n
subah-e-chaman is paanii se kaliyo.n kaa muu.Nh dhotii hai



Meg Index | November 2001 Index