Mehfil-e-Gazal #787

Meg Index | February 2002 Index



Date: 26-Feb-2002
Poet: Shan ul Haq Haqi

bhulaa do ranj kii baato.n me.n kyaa hai
idhar dekho merii aa.Nkho.n me.n kyaa hai

bahut taariik din hai phir bhii dekho
ujaalaa chaa.Ndanii raato.n me.n kyaa hai

[taariik - dark]

nahii.n paatii.n jise bedaar nazare.n
Khudaayaa ye mere Khvaabo.n me.n kyaa hai

[bedaar - sleepless/wakeful]

ye kyaa Dhuu.NDhe chale jaatii hai duniyaa
tamaashaa-saa galii-kuucho.n me.n kyaa hai

hai vahashat-sii ye har chehare pe kaisii
na jaane saham-saa nazaro.n me.n kyaa hai

[vahashat = fear]

ye ik haijaan-saa dariyaa me.n kyo.n hai
ye kuchh saamaan-saa maujo.n me.n kyaa hai

[haijaan = disturbance; saamaan = arrangement]

zaraa-saa bal hai ik zulfo.n kaa us kii
vagarnaa zor zanjiiro.n me.n kyaa hai

hai.n Khamyaaze suruur-e-aarazuu ke
nishaat-o-Gam kaho naamo.n me.n kyaa hai

[Khamyaaze = result; suruur-e-aarazuu = intoxication of desire]
[nishaat-o-Gam = happiness and sorrow]

tumhaarii der-aamezii bhii dekhii
takalluf lakhanau vaalo.n me.n kyaa hai

[der-aamezii = late (for a) meeting; takalluf = formality]


Meg Index | February 2002 Index