Mehfil-e-Gazal #791

Meg Index | March 2002 Index



Date: 12-Mar-2002
Poet: Sir Mohammed Iqbal

Title: 'nayaa shivaalaa'


sach kah duu.N ai brahman gar tuu buraa na maane
tere sanam_kado.n ke but ho gaye puraane

apano.n se bair rakhanaa tuu ne buto.n se siikhaa
jang-o-jadal sikhaayaa vaa_iz ko bhii Khudaa ne

tang aake aaKhir mai.n ne dair-o-haram ko chho.Daa
vaa_iz kaa vaaz chho.Daa, chho.De tere fasaane

patthar kii muurato.n me.n samajhaa hai tuu Khudaa hai
Khaak-e-vatan kaa mujh ko har zarraa devataa hai

aa Gairat ke parde ik baar phir uThaa de.n
bichha.Do.n ko phir milaa de.n naqsh-e-du_ii miTaa de.n

suunii pa.Dii hu_ii hai muddat se dil kii bastii
aa ik nayaa shivaalaa is des me.n banaa de.n

duniyaa ke tiiratho.n se uu.Nchaa ho apanaa tiirath
daamaan-e-aasmaa.N se is kaa kalas milaa de.n

har subah mil ke gaaye.n mantar vo miiThe miiThe
saare pujaariyo.n ko mai piit kii pilaa de.n

shaktii bhii shaantii bhii bhakto.n ke giit me.n hai
dharatii ke baasiyo.n kii muktii priit me.n hai


Meg Index | March 2002 Index