Mehfil-e-Gazal #793

Meg Index | March 2002 Index



Date: 19-Mar-2002
Poet: Ahmad Hamdani


na jaane aaj ye kis kaa Khayaal aayaa hai
Khushii kaa rang liye har malaal aayaa hai

[malaal = sorrow]

vo ek shaKhs ki haasil na thaa jo Khud ko bhii
miTaa kisii pe to kaisaa bahaal aayaa hai

zubaa.N pe harf-e-talab bhii nahii.n ko_ii phir bhii
nigaah-e-dost me.n rang-e-jalaal aayaa hai

[harf-e-talab = word of desire; rang-e-jalaal = colour of anger]

kiyaa na zikr bhii jis kaa tamaam umr kabhii
hamaare kaam bahut vo malaal aayaa hai

nahii.n hai tum se ko_ii dostii bhii ab to magar
qadam qadam pe ye kaisaa vabaal aayaa hai

[vabaal = trouble]


Meg Index | March 2002 Index