Mehfil-e-Gazal #799

Meg Index | April 2002 Index



Date: 09-Apr-2002
Poet: Shahryar


ham pa.Dh rahe the Khvaab ke purzo.n ko jo.D ke
aa.Ndhii ne ye tilism bhii rakh Dalaa to.D ke

aaGaaz kyo.n kiyaa thaa safar un Khvaabo.n kaa
pachhataa rahe ho sabz zamiino.n ko chho.D ke

ik buu.Nd zahar ke liye phailaa rahe ho haath
dekho kabhii Khud apane badan ko nicho.D ke

kuchh bhii nahii.n jo Khvaab kii tarah dikhaa_ii de
ko_ii nahii.n jo ham ko jagaaye jhinjho.D ke

in paaniyo.n se ko_ii salaamat nahii.n gayaa
hai vaqt ab bhii kashtiyaa.N le jaao mo.D ke



Meg Index | April 2002 Index