Mehfil-e-Gazal #824

Meg Index | June 2002 Index



Date: 05-Jul-2002
Poet: Iqbal Haider

aa_iinaa hairaan hai aur aasmaa.N rone ko hai
is tamaash_gaah me.n ab aur kyaa hone ko hai

kashtagaan-e-dard ko jaa.N kii amaa.N kaise mile
zindagii kii har duaa apanaa sar khone ko hai

[kashtagaan-e-dard = pain that starts and stops/intermittent pain]
[amaa.N = protection]

niind ke maare kisii sapane kii Khvaahish kyaa kare.n
har gha.Dii mahasuus hotaa hai sahar hone ko hai

kis ke naqsh-e-paa ko samajhe.n apanii manzil kaa nishaa.N
jhaag u.Daatii mauj aakar har nishaa.N dhone ko hai

[naqsh-e-paa = footprints; jhaag = foam; mauj = wave]

kaash ye ko_ii sitaaraa yaa ko_ii juganuu kahe
har andheraa kah rahaa hai roshanii hone ko hai

ai havaa-e-be-yaqiinii gul na kar ghar ke charaaG
chand lamho.n ko Thahar jaa kuchh na kuchh hone ko hai

[chand = few]


Meg Index | June 2002 Index