Mehfil-e-Gazal #844

Meg Index | January 2003 Index



Date: 17-Jan-2003
Poet: Majaz

barbaad tamannaa pe ataab aur zyaadaa
haa.N merii mohabbat kaa javaab aur zyaadaa

[ataab = anger]

roye na abhii ahal-e-nazar haal pe mere
honaa hai abhii mujh ko Kharaab aur zyaadaa

aavaaraa-va-majanuu.N hii pe mauquuf nahii.n kuchh
milane hai.n abhii mujh ko Khitaab aur zyaadaa

[mauquuf = stop/cease; Khitaab = title]

uThe.nge abhii aur bhii tuufaa.N mere dil se
dekhuu.Ngaa abhii ishq ke Khvaab aur zyaadaa

Tapakegaa lahuu aur mere diidaa-e-tar se
dha.Dakegaa dil-e-Khaanaa_Kharaab aur zyaadaa

[lahuu = blood; diidaa-e-tar = wet eyes]
[dil-e-Khaanaa_Kharaab = wretched heart]

ai mutrib-e-bebaak ko_ii aur bhii naGmaa
ai saaqii-e-fayyaaz sharaab aur zyaadaa

[mutrib = singer; fayyaaz = openhearted/generous]


Meg Index | January 2003 Index