Mehfil-e-Gazal #861

Meg Index | September 2003 Index



Date: 09-Sep-2003
Poet: Malikzada Manzoor Ahmad

itr ki uud ki ambar ki saman kii Khushbuu
sab se bahatar hai magar us ke badan kii Khushbuu

[itr = perfume/fragrance; uud = incense; saman = chameli ka phuul]

ko_ii mausam ho havaa leke chalii aatii hai
duur pardes me.n bhii Khaak-e-vatan kii Khushbuu

chand lamhaat me.n kar detii hai subahe.n raushan
naat ki hamd ki puujaa ki bhajan kii Khushbuu

[lamhaat = moments]

ab to rah rah ke jalii laasho.n kii buu aatii hai
pahale aisii to na thii mere chaman kii Khushbuu

is ke har lafz me.n sau phuulo.n kii shaamil hai mahak
shaayarii apanii hai urduu ke dahan kii Khushbuu

[dahan = mouth]

jab kabhii gor-e-Gariibaa.N se guzar meraa huaa
mujh ko mahasuus hu_ii apane kafan kii Khushbuu

[gor = grave]

chaa.Ndanii raat fizaa sard havaa ke jho.nke
haaye vo TuuTate jismo.n kii thakan kii Khushbuu

us ne jab merii taraf Gaur se dekhaa "Manzoor"
bazm me.n phailii raqiibaanaa jalan kii Khushbuu

[raqiib = rival]



Meg Index | September 2003 Index