Mehfil-e-Gazal #864

Meg Index | September 2003 Index



Date: 19-Sep-2003
Poet: Ali Sardar Jafri


mai.n jahaa.N tum ko bulaataa huu.N vahaa.N tak aao
merii nazaro.n se guzar kar dil-o-jaa.N tak aao

phir ye dekho ki zamaane kii havaa hai kaisii
saath mere mere firdaus-e-javaa.N tak aao

teG kii tarah chalo chho.D ke aaGosh-e-niyaam
tiir kii tarah se aaGosh-e-kamaa.N tak aao

phuul ke gird phiro baaG me.n maanind-e-nasiim
misl-e-paravaanaa kisii sham-e-tapaa.N tak aao

lo vo sadiyo.n ke jahannum kii hade.n Khatm hu_ii
ab hai firdaus hii firdaus jahaa.N tak aao

chho.D kar vaham-o-gumaa.N husn-e-yaqii.n tak pahu.Ncho
par yaqii.n se bhii kabhii vaham-o-gumaa.N tak aao


Meg Index | September 2003 Index