Lafz Index | Lafz FAQ | Lafz Archive


Date:21-Sep-2000
Word of the Day: 'Gam'

Meaning:
-------

Gam - sorrow/grief


Couplet:
-------

Gam rahaa jab tak ki dam me.n dam rahaa
dil ke jaane kaa nihaayat Gam rahaa
[Meer Taqi Meer]

[nihaayat = extremely]


Associated word(s):

1) Gam-angez - that which augments sorrow
2) Gam-kadaa/Gam-Khaanaa - a place full of sorrows (metaphor for world)

mere Gam-Khaane ke chaaro.n simt hai.n dault-kade
zindagii kii bhiik milatii hai kidhar se dekhiye
[Shakeel Badayuni]

[simt = direction]


3) Gam-Khvaar/Gam-gusaar - intimate friend

ye intaqaam bhii lenaa thaa zindagii ko abhii
jo log dushman-e-jaa.N the vo Gam-gusaar huye
[Ahmed Faraz]


4) Gam-gii.n/Gam-giin/Gam-zadaa/Gam-rasiidaa/Gam-naak - grief-stricken

is rang se uThaa_ii kal us ne "Asad" kii laash
dushman bhii jiko dekh ke Gam-naak ho gaye
[Mirza Ghalib]


5) Gam-e-getii/Gam-e-zamaanaa/Gam-e-jahaa.N/Gam-e-dauraa.N/Gam-e-hastii/
Gam-e-roz-gaar/Gam-e-hayaat - sorrows of life

Gam-e-hayaat se dil ko abhii nijaat nahii.n
nigaah-e-naaz se kah do ki intazaar kare
[Shakeel Badayuni]

Gam-e-hastii kaa "Asad" kis se jo juz marg ilaaj
shammaa har rang me.n jalatii hai sahar hone tak
[Mirza Ghalib]

Gam-e-zamaanaa jise aap maut kahate hai.n
hame.n ye maut na milatii to mar gaye hote
[Taj Bhopali]

bahut sahii Gam-e-getii sharaab kam kyaa hai 
Gulaam-e-saaqii-e-kausar huu.N mujh ko Gam kyaa hai 
[Mirza Ghalib]


6) Gam-e-yaar - sorrow of separation





Lafz Index | Lafz FAQ | Lafz Archive